We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Gulaal

from Jaagar by Jaagar

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.
    Purchasable with gift card

      $0.99 USD  or more

     

about

One day the common man will rage. When his limits are pushed and his frustrations rise, he will cast aside his mundane existence and roam the streets even on the darkest nights, his anger blood red.

lyrics

Kadmon tale raasta hai bhaagta.
Raat soi har taraf, main akela jaagta.
Sunsaan sa dekh hai ye jahaan.
Sawaal mere ansune, aaj sab hain bezubaan.

Laal ek aandhi naachti hai aankhon mein.
Bhar chali naraazagi khokhli in raaton mein.
Jahaan ke iraadon se soch meri joojhti.
Khaali in hawaaon mein cheekh meri goonjati.

Sannaton se hawa kar rahi hai baatein.
Uth rahin hain ab dhuein si naraz ye saansein.

Beh raha hai rang koi aaj mere haathon se.
Ghul raha hai gulaal jaise aaj aasmanon mein.
Suraj jaise hai dhal raha in ghanghor raaton mein.
Mil rahi hai pukaar koi ankahi in baaton mein.

Khaamosh raahein, chup chala hai kaarvaan.
Gumshuda roshni, andheron pe meherbaan.
In andheron ko main bhi samet taa.
Rehta in mein aaj main benaam, bepata.

Krodh mera keh raha aaj tu kuch kar dikha.
Nishabd si iss bheed ko aaj sab tu de bata.
Maun si in laashon ko boli aaj tu sikha.
Chup raha jo aaj tu to teri hogi wo khata.

Sannaton se hawa kar rahi hai baatein.
Uth rahin hain ab dhuein si naraz ye saansein.

Beh raha hai rang koi aaj mere haathon se.
Ghul raha hai gulaal jaise aaj aasmanon mein.
Suraj jaise hai dhal raha in ghanghor raaton mein.
Mil rahi hai pukaar koi ankahi in baaton mein.

credits

from Jaagar, released February 1, 2017
Pancham Kelkar and Group (Dhol & Tasha)

license

all rights reserved

tags

about

Jaagar Pune, India

Jaagar is an Alternative/ Folk rock band from Pune. The band comprises of Anand Altekar on Vocals and guitars, Karan Pandav on guitars and vocals, while the bass guitar and drums responsibilites are currently taken up by various session artists. The lyrics are penned by Nivedita Agashe. ... more

contact / help

Contact Jaagar

Streaming and
Download help

Report this track or account

If you like Jaagar, you may also like: